People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 9 *

bharat mata ki beti
Lyricist: Pandit Phani
Album: Aaina - 1944
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaina/Bharat-Mata-Ki-Beti/MSk
bharat mata ki beti
shakti ka aakar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar
samay samay par devi tune
samay samay par devi tune
badla hai sansaar
samay samay par devi tune
badla hai sansaar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar

janha basi tu jakar maya
wanha shanti laai
janha basi tu jakar maya
wanha shanti laai
deep bani andhere ghar ka
shobha ban mukh paai
deep bani andhere ghar ka
shobha ban mukh paai
pati ki kismat ka hai taara
bindiya teri naar
pati ki kismat ka hai taara
bindiya teri naar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar

dheeraj tera dharam hai nari
daya hai teri shan
dheeraj tera dharam hai nari
daya hai teri shan
dev pujaran tu satvanti
pati tera bhagwan
dev pujaran tu satvanti
pati tera bhagwan
sote bhagy jagaye mere
payal ki jhankar
sote bhagy jagaye mere
payal ki jhankar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar
hai bharat mata ki beti
shakti ka aakar
misl-e-khayal aaye
Singer: Kalyani
Lyricist: Pandit Phani
Album: Aaina - 1944
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaina/Misle-Khyal-Aaye-The/Ki
misl-e-khayal aaye the aa kar chale gaye
duniya humare gam ki basa kar chale gaye

phulo ki aas jin se lagaye hue the hum
phulo ki aas jin se lagaye hue the hum
kaante wo raaste me bichha kar chale gaye
misl-e-khayal aaye the aa kar chale gaye

aayi na thi humare chaman me bahar bhi
aayi na thi humare chaman me bahar bhi
wo aag vadiya me laga kar chale gaye
misl-e-khayal aaye the aa kar chale gaye

bhule se bhi kabhi na jinhe hum bhula sake
bhule se bhi kabhi na jinhe hum bhula sake
dil se hume wo apne bhula kar chale gaye
misl-e-khayal aaye the aa kar chale gaye
duniya humare gam ki basa kar chale gaye
misl-e-khayal aaye-2
Singer: Sharma
Lyricist: Pandit Phani
Album: Aaina - 1944
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaina/Misle-Khyal-Aaye-The/Ki
misle khayal aaye the
aakar ke chale gaye
duwa hamare gham ki
batakar ker chale gaye

phulo ki aas jinse lagaye huye the ham
phulo ki aas jinse lagaye huye the ham
kante vi raste me bichakar chale gaye
misle khayal aaye the
aakar ke chale gaye

aayi na thi hamare chaman me bahar abhi
aayi na thi hamare chaman me bahar abhi
vo aag aashiyana me lagakar chale gaye
misle khayal aaye the
aakar ke chale gaye

bhule se bhi kabhi maa
jinhe ham bhula sake
bhule se bhi kabhi maa
jinhe ham bhula sake
dil se hame vo apne
bhulakar chale gaye
misle khayal aaye the
aakar ke chale gaye
duwa hamare gham ki
batakar ker chale gaye

maa pyari maa
Singer: Kaushalya
Lyricist: Pandit Phani
Album: Aaina - 1944
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaina/Maa-Pyari-Maa/GC8IfyRGc
maa pyari maa maa pyari maa
godh me teri khela bachpan mera
maa pyari maa
godh me teri khela bachpan mera
aaj sukhi hai mauj me teri
phul sa jivan mera maa pyari maa
godh me teri khela bachpan mera

thapak thapak kar loriya gakar
thapak thapak kar loriya gakar
tune mujhe sulaya aankh me kati tune rate
aankh me kati tune rate jhula mera jhulaya
jhula mera jhulaya maa pyari maa
godh me teri khela bachpan mera

man me mere yaad hai teri
man me mere yaad hai teri
tune mujhe bhulaya
mamta ne teri mata pyari
mamta ne teri mata pyari aaj mujhe rulaya
aaj mujhe rulaya maa pyari maa
godh me teri khela bachpan mera
maa pyari maa
kuch bol bol panchhi
Singer: Kaushalya
Lyricist: Pandit Phani
Album: Aaina - 1944
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aaina/Kuchh-Bol-Bol-Panchhi/N
kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
o par khol khol panchhi
ho par khol khol panchhi
kuch bol bol panchhi

jannat ki sej tujhko
par dekh ud na jana
par dekh ud na jana
dhundhe chaman kisi ka
tera ye chahchahana
tera ye chahchahana
ho par khol khol panchhi
ho kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
ho par khol khol panchhi
ho kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi

aakash aaj hain tu
kal ki magar na jane
kal ki magar na jane
karlega kaid koi
kitne bhi kar bahane
kitne bhi kar bahane
ho par khol khol panchhi
ho kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
ho par khol khol panchhi
ho kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
kuch bol bol panchhi
Kadam Tu Yeh Manzil Bhadhaye
Singer: Mohammad Rafi
Music: Prem Nath
Lyricist: Pandit Phani
Tag: Hindi
Video:
kadam tu aye manzil badhaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal
kadam tu aye manzil badhaye chala chal
kadam tu aye manzil badhaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal

teri rah tedhi teri dur manzil
musibat nayi har kadam pe mukabil
pahado ko dha dega himmat bhara dil
tu har khauf ispe mitaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal
kadam tu aye manzil badhaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal

chale na chale sath tere jamana
chale na chale sath tere jamana
sune na sune koi tera tarana
rahe kafila tera hardum rawana
hardam rawana
rahe kafila tera hardum rawana
tu duniya ko rashta dikhaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal
kadam tu aye manzil badhaye chala chal
koi sath aaye na aaye chala chal
Deewana Bana Dala
Singer: Rajkumari
Music: Govind Ram
Lyricist: Pandit Phani
Tag: Hindi
Video:
diwana bana dala
ho diwana bana dala
diwana bana dala
ho diwana bana dala
tere pyar ne, tere pyar ne
sawariya tere pyar ne
diwana bana dala
ho diwana bana dala

suhani rut hai ghata mastiyo ki chayi hai
tumhare dard ne ek aag si lagai hai
tadap rahi hu mai
tadap rahi hu mai
lab se yahi duhai hai
parwana bana dala
ho parwana bana dala
parwana bana dala
ho parwana bana dala
tere pyar ne, tere pyar ne
sawariya tere pyar ne

palat to phir yahi aayenge ye bahar ke din
nayi jawani nayi rut naye nikhar ke din
ye mahki mahki si rate ye intzar ke din
ye mahki mahki si rate ye intzar ke din
mastana bana dala
ho mastana bana dala
mastana bana dala
ho mastana bana dala
tere pyar ne, tere pyar ne
sawariya tere pyar ne
diwana bana dala
ho diwana bana dala
diwana bana dala
ho diwana bana dala
Hamari Baat Ka
Music: Govind Ram
Lyricist: Pandit Phani
Tag: Hindi
Video:
humari bat ka kyo tumko aitbar nahi
humari bat ka
humari bat ka kyo tumko aitbar nahi
ye kyu samjh liya
ha ye kyu samjh liya
tumne ki tumse pyar nahi
humari bat ka kyo tumko aitbar nahi
humari bat ka
tumhare ishk me ha tumhare ishk me
din raat aahe bharti hu
har ek subah ko ro ro ke sham karti hu
har ek subah ko ro ro ke sham karti hu
samjh lo bas ki na jiti hu na marti hu
tum khudi dekh lo agar mujh pe aitbar nahi
tum khudi dekh lo agar mujh pe aitbar nahi
ye kyu samjh liya
tumne ki tumse pyar nahi
ye kyu samjh liya

mare to kaise mare ye to aake batla do
afim kadwi hai thoda sa sankhiya la do
nahi to fir koi banduk humko dilwa do
humare pas chhuri hai par us me dhar nahi
humare pas chhuri hai par us me dhar nahi
humari bat ka kyo tumko aitbar nahi
humari bat ka
Jawani Na Aati
Music: Govind Ram
Lyricist: Pandit Phani
Tag: Hindi
Video:
jawani na aati
jawani na aati na dil bhi lagate
jawani na aati na dil bhi lagate
tadpate na armaan na aansu bahate
tadpate na armaan na aansu bahate
jawani na aati na dil bhi lagate

na ummed badhti na bechain hote
na ummed badhti na bechain hote
meri jindagi mein agar tum na aate
meri jindagi mein agar tum na aate
tadpate na armaan na aansu bahate
jawani na aati na dil bhi lagate

sitaaro se karte na raaton mein baate
sitaaro se karte na raaton mein baate
sitaaro se karte na raaton mein baate
kahani na apni kisi ko sunate
kahani na apni kisi ko sunate
tadpate na armaan na aansu bahate
jawani na aati na dil bhi lagate
jawani na aati